Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chahat mein kya duniya-dari ishq mein kaisi majburi

Mohsin Bhopali

chahat mein kya duniya-dari ishq mein kaisi majburi

Mohsin Bhopali

chāhat meñ kyā duniyā-dārī ishq meñ kaisī majbūrī

logoñ kyā samjhāne do un apnī majbūrī

maiñ ne dil baat rakhī aur ne duniyā vāloñ

merī arz bhī majbūrī thī un hukm bhī majbūrī

rok sako to pahlī bārish būñdoñ ko tum roko

kachchī miTTī to mahkegī hai miTTī majbūrī

zāt-kade meñ pahroñ bāteñ aur milīñ to mohr ba-lab

jabr-e-vaqt ne baḳhshī ham ko ab ke kaisī majbūrī

jab tak hañstā gaatā mausam apnā hai sab apne haiñ

vaqt paḌe to yaad aa jaatī hai masnūī majbūrī

ik āvāra bādal se kyuuñ maiñ ne saaya māñgā thā

merī bhī ye nādānī thī us bhī thī majbūrī

muddat guzrī ik va.ade par aaj bhī qaa.em haiñ 'mohsin'

ham ne saarī umr nibāhī apnī pahlī majbūrī

chahat mein kya duniya-dari ishq mein kaisi majburi

logon ka kya samjhane do un ki apni majburi

main ne dil ki baat rakhi aur tu ne duniya walon ki

meri arz bhi majburi thi un ka hukm bhi majburi

rok sako to pahli barish ki bundon ko tum roko

kachchi miTTi to mahkegi hai miTTi ki majburi

zat-kade mein pahron baaten aur milin to mohr ba-lab

jabr-e-waqt ne baKHshi hum ko ab ke kaisi majburi

jab tak hansta gata mausam apna hai sab apne hain

waqt paDe to yaad aa jati hai masnui majburi

ek aawara baadal se kyun main ne saya manga tha

meri bhi ye nadani thi us ki bhi thi majburi

muddat guzri ek wade par aaj bhi qaem hain 'mohsin'

hum ne sari umr nibahi apni pahli majburi

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Gulbahar Bano

Gulbahar Bano

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

chahat mein kya duniya-dari ishq mein kaisi majburi Nomaan Shauque

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now