Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab teri yaad ke rangon se bana li humne

Manzar Naqvi

jab teri yaad ke rangon se bana li humne

Manzar Naqvi

jab tirī yaad ke rañgoñ se banā ham ne

dil dīvār pe tasvīr sajā ham ne

us ke asbāb se niklā hai pareshāñ kāġhaz

baat itnī thī magar ḳhuub uchhālī ham ne

tum se milne ko sitāroñ meñ bhī halchal dekhī

muddatoñ ba.ad koī faal nikālī ham ne

yūñhī auroñ ke liye laḌne chale aa.e ho

kab koī baat tumhārī thī jo Taalī ham ne

ab jo gulshan meñ ḳhizāoñ amal-dārī hai

fasl-e-gul kabhī buniyād na Daalī ham ne

ka.ī aañsū mirī ā.ankhoñ meñ tahlīl hue

dil meñ aa.e to phir ik yaad manā ham ne

jab teri yaad ke rangon se bana li hum ne

dil ki diwar pe taswir saja li hum ne

us ke asbab se nikla hai pareshan kaghaz

baat itni thi magar KHub uchhaali hum ne

tum se milne ko sitaron mein bhi halchal dekhi

muddaton baad koi fal nikali hum ne

yunhi auron ke liye laDne chale aae ho

kab koi baat tumhaari thi jo Tali hum ne

ab jo gulshan mein KHizaon ki amal-dari hai

fasl-e-gul ki kabhi buniyaad na Dali hum ne

kai aansu meri aaankhon mein hi tahlil hue

dil mein aae to phir ek yaad mana li hum ne

Source :
  • Book : Pakistani Adab (Pg. 690)
  • Author : Dr. Rashid Amjad
  • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
  • Edition : 2009
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now