Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab se usne shahr ko chhoDa har rasta sunsan hua

Mohsin Naqvi

jab se usne shahr ko chhoDa har rasta sunsan hua

Mohsin Naqvi

jab se us ne shahr ko chhoḌā har rasta sunsān huā

apnā kyā hai saare shahr ik jaisā nuqsān huā

ye dil ye aaseb nagrī maskan sochūñ vahmoñ

soch rahā huuñ is nagrī meñ kab se mehmān huā

sahrā muñh-zor havā.eñ auroñ se mansūb huiiñ

muft meñ ham āvāra Thahre muft meñ ghar vīrān huā

mere haal pe hairat kaisī dard ke tanhā mausam meñ

patthar bhī ro paḌte haiñ insān to phir insān huā

itnī der meñ ujḌe dil par kitne mahshar biit ga.e

jitnī der meñ tujh ko kar khone imkān huā

kal tak jis ke gird thā raqsāñ ik amboh sitāroñ

aaj usī ko tanhā kar maiñ to bahut hairān huā

us ke zaḳhm chhupā kar rakhiye ḳhud us shaḳhs nazroñ se

us se kaisā shikva kiije vo to abhī nādān huā

jin ashkoñ phīkī lau ko ham be-kār samajhte the

un ashkoñ se kitnā raushan ik tārīk makān huā

yuuñ bhī kam-āmez thā 'mohsin' vo is shahr ke logoñ meñ

lekin mere sāmne aa kar aur bhī kuchh anjān huā

jab se us ne shahr ko chhoDa har rasta sunsan hua

apna kya hai sare shahr ka ek jaisa nuqsan hua

ye dil ye aaseb ki nagri maskan sochun wahmon ka

soch raha hun is nagri mein tu kab se mehman hua

sahra ki munh-zor hawaen auron se mansub huin

muft mein hum aawara Thahre muft mein ghar viran hua

mere haal pe hairat kaisi dard ke tanha mausam mein

patthar bhi ro paDte hain insan to phir insan hua

itni der mein ujDe dil par kitne mahshar bit gae

jitni der mein tujh ko pa kar khone ka imkan hua

kal tak jis ke gird tha raqsan ek amboh sitaron ka

aaj usi ko tanha pa kar main to bahut hairan hua

us ke zaKHm chhupa kar rakhiye KHud us shaKHs ki nazron se

us se kaisa shikwa kije wo to abhi nadan hua

jin ashkon ki phiki lau ko hum be-kar samajhte the

un ashkon se kitna raushan ek tarik makan hua

yun bhi kam-amez tha 'mohsin' wo is shahr ke logon mein

lekin mere samne aa kar aur bhi kuchh anjaan hua

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now