Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab kabhi unki tawajjoh mein kami pai gai

Sahir Ludhianvi

jab kabhi unki tawajjoh mein kami pai gai

Sahir Ludhianvi

jab kabhī un tavajjoh meñ kamī paa.ī ga.ī

az-sar-e-nau dāstān-e-shauq dohrā.ī ga.ī

bik ga.e jab tere lab phir tujh ko kyā shikva agar

zindagānī baada o sāġhar se bahlā.ī ga.ī

ai ġham-e-duniyā tujhe kyā ilm tere vāste

kin bahānoñ se tabī.at raah par laa.ī ga.ī

ham kareñ tark-e-vafā achchhā chalo yuuñ sahī

aur agar tark-e-vafā se bhī na rusvā.ī ga.ī

kaise kaise chashm o aariz gard-e-ġham se bujh ga.e

kaise kaise paikaroñ shān-e-zebā.ī ga.ī

dil dhaḌkan meñ tavāzun aa chalā hai ḳhair ho

merī nazreñ bujh ga.iiñ terī ra.anā.ī ga.ī

un ġham un tasavvur un ke shikve ab kahāñ

ab to ye bāteñ bhī ai dil ho ga.iiñ aa.ī ga.ī

jur.at-e-insāñ pe go tādīb ke pahre rahe

fitrat-e-insāñ ko kab zanjīr pahnā.ī ga.ī

arsa-e-hastī meñ ab tesha-zanoñ daur hai

rasm-e-chañgezī uThī tauqīr-e-dārā.ī ga.ī

jab kabhi un ki tawajjoh mein kami pai gai

az-sar-e-nau dastan-e-shauq dohrai gai

bik gae jab tere lab phir tujh ko kya shikwa agar

zindagani baada o saghar se bahlai gai

ai gham-e-duniya tujhe kya ilm tere waste

kin bahanon se tabiat rah par lai gai

hum karen tark-e-wafa achchha chalo yun hi sahi

aur agar tark-e-wafa se bhi na ruswai gai

kaise kaise chashm o aariz gard-e-gham se bujh gae

kaise kaise paikaron ki shan-e-zebai gai

dil ki dhaDkan mein tawazun aa chala hai KHair ho

meri nazren bujh gain ya teri ranai gai

un ka gham un ka tasawwur un ke shikwe ab kahan

ab to ye baaten bhi ai dil ho gain aai gai

jurat-e-insan pe go tadib ke pahre rahe

fitrat-e-insan ko kab zanjir pahnai gai

arsa-e-hasti mein ab tesha-zanon ka daur hai

rasm-e-changezi uThi tauqir-e-darai gai

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Mohammad Rafi

Mohammad Rafi

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

jab kabhi unki tawajjoh mein kami pai gai Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now