Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab ghar se wo baad-e-mah nikle

Mushafi Ghulam Hamdani

jab ghar se wo baad-e-mah nikle

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    jab ghar se vo ba.ad-e-māh nikle

    muñh se mire kyuuñ na aah nikle

    dil vo hai ki jis se chaah nikle

    muñh vo hai ki jis se aah nikle

    zindāñ to apne sair kar

    shāyad koī be-gunāh nikle

    'mānī' se khiñchī na ḳhat tasvīr

    lākhoñ varaq siyāh nikle

    ḳhajlat ye huī ki mahkme se

    sharminda mire gavāh nikle

    raste masdūd ho ga.e haiñ

    ab dekhiye kyūñke raah nikle

    palkeñ nahīñ chhoḌtīñ ki ik dam

    āñkhoñ se tirī nigāh nikle

    ai aah le to chal alam ko

    āñsuoñ sipāh nikle

    niklā maiñ galī se us is tarah

    jaise koī dād-ḳhvāh nikle

    vo soḳhta maiñ nahīñ ki jis

    turbat se gil o gayāh nikle

    sher apne jo 'mus.hafī' paḌhūñ maiñ

    muñh se tire vaah vaah nikle

    jab ghar se wo baad-e-mah nikle

    munh se mere kyun na aah nikle

    dil wo hai ki jis se chah nikle

    munh wo hai ki jis se aah nikle

    zindan ki to apne sair tu kar

    shayad koi be-gunah nikle

    'mani' se khinchi na KHat ki taswir

    lakhon waraq siyah nikle

    KHajlat ye hui ki mahkme se

    sharminda mere gawah nikle

    raste masdud ho gae hain

    ab dekhiye kyunke rah nikle

    palken nahin chhoDtin ki ek dam

    aankhon se teri nigah nikle

    ai aah tu le to chal alam ko

    ta aansuon ki sipah nikle

    nikla main gali se us ki is tarah

    jaise koi dad-KHwah nikle

    wo soKHta main nahin ki jis ki

    turbat se gil o gayah nikle

    sher apne jo 'mushafi' paDhun main

    munh se tere wah wah nikle

    Source :
    • Book : kulliyat-e-mas.hafii(divan-e-doom) (Pg. 283)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now