jab bhi tanhai ke ehsas se ghabraata hun
jab bhī tanhā.ī ke ehsās se ghabrātā huuñ
maiñ har ik chiiz meñ tahlīl sā ho jaatā huuñ
maiñ kisī jism pe pheñkā huā patthar to na thā
bār-hā apnā lahū dekh ke sharmātā huuñ
raat jo kuchh mujhe detī hai sahar se pahle
vaqt ke gahre samundar meñ utaar aatā huuñ
din ke hañgāme jilā dete haiñ mujh ko varna
sub.h se pahle ka.ī martaba mar jaatā huuñ
ek nashshe kī tarah TuuT gayā huuñ ḳhud se
apne nazdīk bhī mushkil se nazar aatā huuñ
jab bhi tanhai ke ehsas se ghabraata hun
main har ek chiz mein tahlil sa ho jata hun
main kisi jism pe phenka hua patthar to na tha
bar-ha apna lahu dekh ke sharmata hun
raat jo kuchh mujhe deti hai sahar se pahle
waqt ke gahre samundar mein utar aata hun
din ke hangame jila dete hain mujh ko warna
subh se pahle kai martaba mar jata hun
ek nashshe ki tarah TuT gaya hun KHud se
apne nazdik bhi mushkil se nazar aata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.