jab bhi do aansu nikal kar rah gae
jab bhi do aansu nikal kar rah gae
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
MORE BYSufi Ghulam Mustafa Tabassum
jab bhī do aañsū nikal kar rah ga.e
dard ke unvāñ badal kar rah ga.e
kitnī fariyādeñ laboñ par ruk ga.iiñ
kitne ashk aahoñ meñ Dhal kar rah ga.e
ruḳh badal jaatā mirī taqdīr kā
aap hī tevar badal kar rah ga.e
khul ke rone kī tamannā thī hameñ
ek do aañsū nikal kar rah ga.e
zindagī bhar saath denā thā jinheñ
do qadam hamrāh chal kar rah ga.e
tere andāz-e-'tabassum' kā fusūñ
hādse pahlū badal kar rah ga.e
jab bhi do aansu nikal kar rah gae
dard ke unwan badal kar rah gae
kitni fariyaaden labon par ruk gain
kitne ashk aahon mein Dhal kar rah gae
ruKH badal jata meri taqdir ka
aap hi tewar badal kar rah gae
khul ke rone ki tamanna thi hamein
ek do aansu nikal kar rah gae
zindagi bhar sath dena tha jinhen
do qadam hamrah chal kar rah gae
tere andaz-e-'tabassum' ka fusun
hadse pahlu badal kar rah gae
- Book : sau-e-baar-e-chaman mahka (Pg. 128)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.