jab bhi aata hai wo mere dhyan mein
jab bhī aatā hai vo mere dhyān meñ
phuul rakh jaatā hai roshan-dān meñ
ghar ke bām-o-dar na.e lagne lage
husn aisā thā mire mehmān meñ
terā chehra aa.ine ke sāmne
aur ā.īna na.e imkān meñ
aks tere terī ḳhushbū tere rañg
bas yahī kuchh hai mire sāmān meñ
jism-o-jāñ ko taaza mausam mil ga.e
jal gayā maiñ tere ātish-dān meñ
jo sitāra parvarish paatā rahā
vo milā hai pyaar ke ruj.hān meñ
titliyāñ kamre ke andar aa ga.iiñ
ek phuul aisā bhī thā gul-dān meñ
āñdhiyoñ meñ bhī uḌātā hai mujhe
kaun hai ye mere jism-o-jān meñ
dhaḌkaneñ terī haiñ be-āvāz kyuuñ
kyā nahīñ huuñ maiñ tire imkān meñ
jab daraḳht añgnā.iyoñ ke kaT ga.e
dhuup utar aa.ī hai har dālān meñ
ajnabī ḳhvāboñ kā sūrat-gar huuñ maiñ
aur maiñ gum huuñ tirī pahchān meñ
jab bhi aata hai wo mere dhyan mein
phul rakh jata hai roshan-dan mein
ghar ke baam-o-dar nae lagne lage
husn aisa tha mere mehman mein
tera chehra aaine ke samne
aur aaina nae imkan mein
aks tere teri KHushbu tere rang
bas yahi kuchh hai mere saman mein
jism-o-jaan ko taza mausam mil gae
jal gaya main tere aatish-dan mein
jo sitara parwarish pata raha
wo mila hai pyar ke rujhan mein
titliyan kamre ke andar aa gain
ek phul aisa bhi tha gul-dan mein
aandhiyon mein bhi uData hai mujhe
kaun hai ye mere jism-o-jaan mein
dhaDkanen teri hain be-awaz kyun
kya nahin hun main tere imkan mein
jab daraKHt angnaiyon ke kaT gae
dhup utar aai hai har dalan mein
ajnabi KHwabon ka surat-gar hun main
aur main gum hun teri pahchan mein
- Book : Pakistani Adab (Pg. 398)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.