Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaan jae haq ki KHatir aae jab bari meri

Sada Ambalvi

jaan jae haq ki KHatir aae jab bari meri

Sada Ambalvi

jaan jaa.e haq ḳhātir aa.e jab baarī mirī

kaam kuchh aa.e mirā sar aur sardārī mirī

kyoñ tirī TuuTī surāhī ḳhum tirā ḳhālī huā

aa.ī hai jab aaj mere sāqiyā baarī mirī

dil rakh ke dil meñ apne dil kisī rakh liyā

dil mirā bismil sahī dekh dildārī mirī

zikr merā aa.egā mahfil meñ jab jab dosto

ro paḌeñge yaad kar ke yaar sab yaarī mirī

ḳhaak ho kar mile shāyad vafā kuchh sila

aazmā jaise rahe haiñ vo vafādārī mirī

maiñ sitāroñ ko kabhī chhū chukā hotā 'sadā'

aa.ī aaḌe rāste meñ bas-ki ḳhuddārī mirī

jaan jae haq ki KHatir aae jab bari meri

kaam kuchh aae mera sar aur sardari meri

kyon teri TuTi surahi KHum tera KHali hua

aai hai jab aaj mere saqiya bari meri

dil ki rakh ke dil mein apne dil kisi ka rakh liya

dil mera bismil sahi tu dekh dildari meri

zikr mera aaega mahfil mein jab jab dosto

ro paDenge yaad kar ke yar sab yari meri

KHak ho kar hi mile shayad wafa ka kuchh sila

aazma jaise rahe hain wo wafadari meri

main sitaron ko kabhi ka chhu chuka hota 'sada'

aai aaDe raste mein bas-ki KHuddari meri

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now