Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq ka rog to wirse mein mila tha mujhko

Bharat Bhushan Pant

ishq ka rog to wirse mein mila tha mujhko

Bharat Bhushan Pant

ishq rog to virse meñ milā thā mujh ko

dil dhaḌaktā huā siine meñ milā thā mujh ko

haañ ye kāfir usī hujre meñ milā thā mujh ko

ek momin jahāñ sajde meñ milā thā mujh ko

us ko bhī merī tarah apnī vafā par thā yaqīñ

vo bhī shāyad isī dhoke meñ milā thā mujh ko

us ne bazm ke ādāb sikhā.e the mujhe

vo jo ik shaḳhs akele meñ milā thā mujh ko

manzil-e-hosh pe ik maiñ nahīñ thā tanhā

yaañ to har shaḳhs nashshe meñ milā thā mujh ko

ye bhī ik aib thā merī nazar shāyad

roz kuchh farq chehre meñ milā thā mujh ko

aise hālāt meñ kyā us se gilā kartā maiñ

raat sūraj bhī añdhere meñ milā thā mujh ko

maiñ agar Duub na jaatā to vahāñ kyā kartā

ik samundar thā jo qatre meñ milā thā mujh ko

ruuh pyaas bujhānā koī āsān na thā

saaf paanī baḌe gahre meñ milā thā mujh ko

sach to ye hai ki yahāñ koī bhī manzil na thī

vo bhī rasta thā jo raste meñ milā thā mujh ko

ishq ka rog to wirse mein mila tha mujh ko

dil dhaDakta hua sine mein mila tha mujh ko

han ye kafir usi hujre mein mila tha mujh ko

ek momin jahan sajde mein mila tha mujh ko

us ko bhi meri tarah apni wafa par tha yaqin

wo bhi shayad isi dhoke mein mila tha mujh ko

us ne hi bazm ke aadab sikhae the mujhe

wo jo ek shaKHs akele mein mila tha mujh ko

manzil-e-hosh pe ek main hi nahin tha tanha

yan to har shaKHs hi nashshe mein mila tha mujh ko

ye bhi ek aib tha meri hi nazar ka shayad

roz kuchh farq sa chehre mein mila tha mujh ko

aise haalat mein kya us se gila karta main

raat suraj bhi andhere mein mila tha mujh ko

main agar Dub na jata to wahan kya karta

ek samundar tha jo qatre mein mila tha mujh ko

ruh ki pyas bujhana koi aasan na tha

saf pani baDe gahre mein mila tha mujh ko

sach to ye hai ki yahan koi bhi manzil hi na thi

wo bhi rasta tha jo raste mein mila tha mujh ko

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now