ishq aur itna mohazzab chhoD kar diwana-pan
ishq aur itnā mohazzab chhoḌ kar dīvāna-pan
band uupar se tale tak shervānī ke baTan
ishq kī dīvāngī vaz-e-junūñ ke saath thī
chāk-e-dil bhī sil gayā jab se siyā hai pairahan
dil ko muzhda ho ki vo bhī ḳhair se jaatī rahī
aah se pahle jo kuchh mahsūs hotī thī dukhan
un ko jalvat kī havas mahfil meñ tanhā kar ga.ī
jo kabhī hote the apnī zaat se ik anjuman
shāḳh-e-gul ban kar lachakte haiñ havas kī bazm meñ
ye vahī haiñ jin meñ thā talvār kā sā bāñkpan
ḳhush-numā lafzoñ kī rishvat de ke raazī kījiye
ruuh kī tauhīn par āmāda rahtā hai badan
marg-e-shahr-e-ārzū kā kar chuke mātam 'salīm'
aao in lāshoñ ko ab lafzoñ kā pahnā.eñ kafan
ishq aur itna mohazzab chhoD kar diwana-pan
band upar se tale tak sherwani ke baTan
ishq ki diwangi waz-e-junun ke sath thi
chaak-e-dil bhi sil gaya jab se siya hai pairahan
dil ko muzhda ho ki wo bhi KHair se jati rahi
aah se pahle jo kuchh mahsus hoti thi dukhan
un ko jalwat ki hawas mahfil mein tanha kar gai
jo kabhi hote the apni zat se ek anjuman
shaKH-e-gul ban kar lachakte hain hawas ki bazm mein
ye wahi hain jin mein tha talwar ka sa bankpan
KHush-numa lafzon ki rishwat de ke raazi kijiye
ruh ki tauhin par aamada rahta hai badan
marg-e-shahr-e-arzu ka kar chuke matam 'salim'
aao in lashon ko ab lafzon ka pahnaen kafan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.