Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is qadar musalsal thin shiddaten judai ki

Ahmad Faraz

is qadar musalsal thin shiddaten judai ki

Ahmad Faraz

is qadar musalsal thiiñ shiddateñ judā.ī

aaj pahlī baar us se maiñ ne bevafā.ī

varna ab talak yuuñ thā ḳhvāhishoñ bārish meñ

to TuuT kar royā ġhazal-sarā.ī

taj diyā thā kal jin ko ham ne terī chāhat meñ

aaj un se majbūran taaza āshnā.ī

ho chalā thā jab mujh ko iḳhtilāf apne se

ne kis ghaḌī zālim merī ham-navā.ī

tark kar chuke qāsid kū-e-nā-murādāñ ko

kaun ab ḳhabar laave shahr-e-āshnā.ī

tanz o ta.ana o tohmat sab hunar haiñ nāseh ke

aap se koī pūchhe ham ne kyā burā.ī

phir qafas meñ shor uTThā qaidiyoñ aur sayyād

dekhnā uḌā degā phir ḳhabar rihā.ī

dukh huā jab us dar par kal 'farāz' ko dekhā

laakh aib the us meñ ḳhū na thī gadā.ī

is qadar musalsal thin shiddaten judai ki

aaj pahli bar us se main ne bewafai ki

warna ab talak yun tha KHwahishon ki barish mein

ya to TuT kar roya ya ghazal-sarai ki

taj diya tha kal jin ko hum ne teri chahat mein

aaj un se majburan taza aashnai ki

ho chala tha jab mujh ko iKHtilaf apne se

tu ne kis ghaDi zalim meri ham-nawai ki

tark kar chuke qasid ku-e-na-muradan ko

kaun ab KHabar lawe shahr-e-ashnai ki

tanz o tana o tohmat sab hunar hain naseh ke

aap se koi puchhe hum ne kya burai ki

phir qafas mein shor uTTha qaidiyon ka aur sayyaad

dekhna uDa dega phir KHabar rihai ki

dukh hua jab us dar par kal 'faraaz' ko dekha

lakh aib the us mein KHu na thi gadai ki

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Ahmad Faraz

Ahmad Faraz,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

is qadar musalsal thin shiddaten judai ki Nomaan Shauque

Ahmad Faraz

is qadar musalsal thin shiddaten judai ki Ahmad Faraz

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now