Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is qadar bhi to meri jaan na tarsaya kar

Mushafi Ghulam Hamdani

is qadar bhi to meri jaan na tarsaya kar

Mushafi Ghulam Hamdani

is qadar bhī to mirī jaan na tarsāyā kar

mil ke tanhā gale se kabhī lag jaayā kar

dekh kar ham ko na parde meñ chhup jaayā kar

ham to apne haiñ miyāñ ġhair se sharmāyā kar

ye burī ḳhū hai dilā tujh meñ ḳhudā saugand

dekh us but ko hairān na rah jaayā kar

haath merā bhī jo pahuñchā to maiñ samjhūñgā ḳhuub

ye añgūThā kisī aur ko dikhlāyā kar

gar aatā nahīñ hai ālam-e-bedārī meñ

ḳhvāb meñ kabhī ai rāhat-e-jāñ aayā kar

ai sabā auroñ turbat pe gul-afshānī chand

jānib-e-gor-e-ġharībāñ bhī kabhī aayā kar

ham bhī ai jān-e-man itne to nahīñ nākāra

kabhī kuchh kaam ham ko bhī to farmāyā kar

tujh ko khā jā.egā ai 'mus.hafī' ye ġham ik roz

dil ke jaane itnā bhī na ġham khāyā kar

is qadar bhi to meri jaan na tarsaya kar

mil ke tanha tu gale se kabhi lag jaya kar

dekh kar hum ko na parde mein tu chhup jaya kar

hum to apne hain miyan ghair se sharmaya kar

ye buri KHu hai dila tujh mein KHuda ki saugand

dekh us but ko tu hairan na rah jaya kar

hath mera bhi jo pahuncha to main samjhunga KHub

ye anguTha tu kisi aur ko dikhlaya kar

gar tu aata nahin hai aalam-e-bedari mein

KHwab mein tu kabhi ai rahat-e-jaan aaya kar

ai saba auron ki turbat pe gul-afshani chand

jaanib-e-gor-e-ghariban bhi kabhi aaya kar

hum bhi ai jaan-e-man itne to nahin nakara

kabhi kuchh kaam tu hum ko bhi to farmaya kar

tujh ko kha jaega ai 'mushafi' ye gham ek roz

dil ke jaane ka tu itna bhi na gham khaya kar

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now