main kahan aur ku-e-yar kahan
maiñ kahāñ aur kū-e-yār kahāñ
vo bulā leñ ye iḳhtiyār kahāñ
aa hī nikle jo mai-kade meñ ham
rah gayā paas nang-o-'ār kahāñ
chashm-e-nargis banā huā hai dil
DhūñDne jaa.eñ tujh ko yaar kahāñ
aa bhī jaao ki ziist ḳhatm huī
rah ga.ī tāb-e-intizār kahāñ
maiñ huuñ mansūr-e-vaqt Dar kis kā
DhūñDtā huuñ chhupā hai daar kahāñ
tham ga.ī gardish-e-zamān-o-makāñ
mai-kade meñ abhī bahār kahāñ
jab se ye kār-o-bār-e-zauq milā
rah gayā zauq-e-kār-o-bār kahāñ
khā rahe haiñ nizām-e-nau kī qasam
bolne lag ga.e mazār kahāñ
aaj 'vāsif' ne phir ġhazal keh dī
ab na kahiye ki baar baar kahāñ
main kahan aur ku-e-yar kahan
wo bula len ye iKHtiyar kahan
aa hi nikle jo mai-kade mein hum
rah gaya pas nang-o-'ar kahan
chashm-e-nargis bana hua hai dil
DhunDne jaen tujh ko yar kahan
aa bhi jao ki zist KHatm hui
rah gai tab-e-intizar kahan
main hun mansur-e-waqt Dar kis ka
DhunDta hun chhupa hai dar kahan
tham gai gardish-e-zaman-o-makan
mai-kade mein abhi bahaar kahan
jab se ye kar-o-bar-e-zauq mila
rah gaya zauq-e-kar-o-bar kahan
kha rahe hain nizam-e-nau ki qasam
bolne lag gae mazar kahan
aaj 'wasif' ne phir ghazal keh di
ab na kahiye ki bar bar kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.