nazar milegi jo un se apni to dil ka mausam KHarab hoga
nazar milegī jo un se apnī to dil kā mausam ḳharāb hogā
to dil ko kaise sañbhāleñge ham vo husn jab be-naqāb hogā
lachaktī zulfeñ ye mahkī sāñseñ sharābī āñkheñ gulābī 'āriz
jidhar tumhārī nazar paḌegī udhar hī husn-e-shabāb hogā
na pūchho ham se ki kitnī shiddat se chāhte haiñ ham un ko varna
mohabbateñ to 'ibādateñ haiñ 'ibādatoñ kā hisāb hogā
ġhazal ye sun kar vo jhuum uTheñge hamāre siine se aa lageñge
'jigar' tumhārā mushā'ire meñ ḳhayāl hī lā-javāb hogā
nazar milegi jo un se apni to dil ka mausam KHarab hoga
to dil ko kaise sanbhaalenge hum wo husn jab be-naqab hoga
lachakti zulfen ye mahki sansen sharabi aankhen gulabi 'ariz
jidhar tumhaari nazar paDegi udhar hi husn-e-shabab hoga
na puchho hum se ki kitni shiddat se chahte hain hum un ko warna
mohabbaten to 'ibaadaten hain 'ibaadaton ka hisab hoga
ghazal ye sun kar wo jhum uThenge hamare sine se aa lagenge
'jigar' tumhaara musha'ire mein KHayal hi la-jawab hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.