kuchh KHabar hai tujhe be-KHabar kaise kaise fana ho gae
kuchh ḳhabar hai tujhe be-ḳhabar kaise kaise fanā ho ga.e
tū hamārī hai jān-e-ġhazal ham tujhī par fidā ho ga.e
chalte chalte kisī moḌ par aap ham lāpata ho ga.e
aap ham se judā ho ga.e aap se ham judā ho ga.e
kyā yahī hai tumhārī vafā soch kar dekho nā jān-e-jāñ
pahle qasmeñ uThā.ī ga.iiñ baa'd meñ be-vafā ho ga.e
husn kī tere jādū-garī pūchh mat ai mirī chāñdnī
ik jhalak terī dekhī jahāñ ham vahīñ par fidā ho ga.e
khal rahī hai tumhārī kamī jal rahā hai ‘jigar-dhānvī'
ashk āñkhoñ se girne lage rang sab be-maza ho ga.e
kuchh KHabar hai tujhe be-KHabar kaise kaise fana ho gae
tu hamari hai jaan-e-ghazal hum tujhi par fida ho gae
chalte chalte kisi moD par aap hum lapata ho gae
aap hum se juda ho gae aap se hum juda ho gae
kya yahi hai tumhaari wafa soch kar dekho na jaan-e-jaan
pahle qasmen uThai gain ba'd mein be-wafa ho gae
husn ki tere jadu-gari puchh mat ai meri chandni
ek jhalak teri dekhi jahan hum wahin par fida ho gae
khal rahi hai tumhaari kami jal raha hai ‘jigar-dhanwi'
ashk aankhon se girne lage rang sab be-maza ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.