Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

de rahe hain jis ko topon ki salami aadmi

Aftab Hussain

de rahe hain jis ko topon ki salami aadmi

Aftab Hussain

de rahe haiñ jis ko topoñ salāmī aadmī

kyā kahūñ tum se ki hai kitnā harāmī aadmī

bhiiḌ chhaT jā.egī tab us samajh meñ aa.egā

ek akelā aadmī hai azdahāmī aadmī

kyā dikhāte ho miyāñ, parcha hameñ aḳhbār

ham ne dekhe haiñ bahut naamī girāmī aadmī

paañv meñ juutā nahīñ hai, peT meñ roTī nahīñ

le ke kyā chāTegā ḳhālī nek-nāmī aadmī

uTh ke baiThā vahī ashrāfiya god meñ

ham ġharīboñ ne jise samjhā avāmī aadmī

qais sāhab kis liye bhaTkeñge najd-e-shauq meñ

mil jā.egā koī ham maqāmī aadmī

dil ki hai shīrāza-e-hastī havā zad pe hai

aadmī ai aadmī ai intizāmī aadmī

de rahe hain jis ko topon ki salami aadmi

kya kahun tum se ki hai kitna harami aadmi

bhiD chhaT jaegi tab us ki samajh mein aaega

ek akela aadmi hai azdahami aadmi

kya dikhate ho miyan, parcha hamein aKHbar ka

hum ne dekhe hain bahut nami girami aadmi

panw mein juta nahin hai, peT mein roTi nahin

le ke kya chaTega KHali nek-nami aadmi

uTh ke ja baiTha wahi ashrafiya ki god mein

hum gharibon ne jise samjha awami aadmi

qais sahab kis liye bhaTkenge najd-e-shauq mein

mil hi jaega koi hum sa maqami aadmi

dil ki hai shiraaza-e-hasti hawa ki zad pe hai

aadmi ai aadmi ai intizami aadmi

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now