wo shaKHs ki main jis se mohabbat nahin karta
vo shaḳhs ki maiñ jis se mohabbat nahīñ kartā
hañstā hai mujhe dekh ke nafrat nahīñ kartā
pakḌā hī gayā huuñ to mujhe daar pe khīñcho
sachchā huuñ magar apnī vakālat nahīñ kartā
kyuuñ baḳhsh diyā mujh se gunahgār ko maulā
munsif to kisī se bhī ri.āyat nahīñ kartā
ghar vāloñ ko ġhaflat pe sabhī kos rahe haiñ
choroñ ko magar koī malāmat nahīñ kartā
kis qaum ke dil meñ nahīñ jazbāt-e-barāhīm
kis mulk pe namrūd hukūmat nahīñ kartā
dete haiñ ujāle mire sajdoñ kī gavāhī
maiñ chhup ke añdhere meñ ibādat nahīñ kartā
bhūlā nahīñ maiñ aaj bhī ādāb-e-javānī
maiñ aaj bhī auroñ ko nasīhat nahīñ kartā
insān ye samjheñ ki yahāñ dafn ḳhudā hai
maiñ aise mazāroñ kī ziyārat nahīñ kartā
duniyā meñ 'qatīl' us sā munāfiq nahīñ koī
jo zulm to sahtā hai baġhāvat nahīñ kartā
wo shaKHs ki main jis se mohabbat nahin karta
hansta hai mujhe dekh ke nafrat nahin karta
pakDa hi gaya hun to mujhe dar pe khincho
sachcha hun magar apni wakalat nahin karta
kyun baKHsh diya mujh se gunahgar ko maula
munsif to kisi se bhi riayat nahin karta
ghar walon ko ghaflat pe sabhi kos rahe hain
choron ko magar koi malamat nahin karta
kis qaum ke dil mein nahin jazbaat-e-barahim
kis mulk pe namrud hukumat nahin karta
dete hain ujale mere sajdon ki gawahi
main chhup ke andhere mein ibaadat nahin karta
bhula nahin main aaj bhi aadab-e-jawani
main aaj bhi auron ko nasihat nahin karta
insan ye samjhen ki yahan dafn KHuda hai
main aise mazaron ki ziyarat nahin karta
duniya mein 'qatil' us sa munafiq nahin koi
jo zulm to sahta hai baghawat nahin karta
- Book : kalam-e-qateel shifai (Pg. 105)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.