Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jahan mein aankh jo kholi fana ko bhul gae

Chakbast Braj Narayan

jahan mein aankh jo kholi fana ko bhul gae

Chakbast Braj Narayan

MORE BYChakbast Braj Narayan

    jahāñ meñ aañkh jo kholī fanā ko bhuul ga.e

    kuchh ibtidā hī meñ ham intihā ko bhuul ga.e

    nifāq gabr-o-musalmāñ kā yuuñ miTā āḳhir

    ye but ko bhuul ga.e vo ḳhudā ko bhuul ga.e

    huā mizāj kā 'ālam ye sair-e-europe se

    ki apne mulk kī āb-o-havā ko bhuul ga.e

    zamīñ laraztī hai bahte haiñ ḳhuun ke dariyā

    ḳhudī ke josh meñ apne ḳhudā ko bhuul ga.e

    ye inqilāb huā 'ālam-e-asīrī meñ

    qafas meñ rah ke ham apnī sadā ko bhuul ga.e

    jahan mein aankh jo kholi fana ko bhul gae

    kuchh ibtida hi mein hum intiha ko bhul gae

    nifaq gabr-o-musalman ka yun miTa aaKHir

    ye but ko bhul gae wo KHuda ko bhul gae

    hua mizaj ka 'alam ye sair-e-europe se

    ki apne mulk ki aab-o-hawa ko bhul gae

    zamin larazti hai bahte hain KHun ke dariya

    KHudi ke josh mein apne KHuda ko bhul gae

    ye inqilab hua 'alam-e-asiri mein

    qafas mein rah ke hum apni sada ko bhul gae

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now