Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aabaad rahenge virane shadab rahengi zanjiren

Hafeez Merathi

aabaad rahenge virane shadab rahengi zanjiren

Hafeez Merathi

MORE BYHafeez Merathi

    ābād raheñge vīrāne shādāb raheñgī zanjīreñ

    jab tak dīvāne zinda haiñ phūleñgī phaleñgī zanjīreñ

    āzādī darvāza bhī ḳhud kholeñgī zanjīreñ

    TukḌe TukḌe ho jā.eñgī jab had se baḌheñgī zanjīreñ

    jab sab ke lab sil jā.eñge hāthoñ se qalam chhin jā.eñge

    bātil se lohā lene elaan kareñgī zanjīreñ

    andhoñ bahroñ nagrī meñ yuuñ kaun tavajjoh kartā hai

    māhaul sunegā dekhegā jis vaqt bajeñgī zanjīreñ

    jo zanjīroñ se bāhar haiñ āzād unheñ bhī mat samjho

    jab haath kaTeñge zālim ke us vaqt kaTeñgī zanjīreñ

    aabaad rahenge virane shadab rahengi zanjiren

    jab tak diwane zinda hain phulengi phalengi zanjiren

    aazadi ka darwaza bhi KHud hi kholengi zanjiren

    TukDe TukDe ho jaengi jab had se baDhengi zanjiren

    jab sab ke lab sil jaenge hathon se qalam chhin jaenge

    baatil se loha lene ka elan karengi zanjiren

    andhon bahron ki nagri mein yun kaun tawajjoh karta hai

    mahaul sunega dekhega jis waqt bajengi zanjiren

    jo zanjiron se bahar hain aazad unhen bhi mat samjho

    jab hath kaTenge zalim ke us waqt kaTengi zanjiren

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now