nahin hai milne ka imkan isi imkan ka gham hai
nahīñ hai milne kā imkāñ isī imkān kā ġham hai
rahegā kis tarah tanhā dil-e-nādān kā ġham hai
jise terī judā.ī ne ġhazab vahshī banā Daalā
mujhe to apne andar ke usī insān kā ġham hai
milā huuñ jab se maiñ tujh se maiñ terī zaat meñ gum huuñ
maiñ terī zaat meñ gum huuñ mujhe pahchān kā ġham hai
mirī maañ mere bachpan se mujhe ye baat kahtī hai
mire beTe jo insāñ hai use insān kā ġham hai
nahīñ mauqūf merī zaat tak terī navāzish bas
na-jāne aur kitnoñ ko tire ehsān kā ġham hai
mujhe us se mohabbat hai mujhe us kī zarūrat hai
jise apnoñ kī mahfil meñ kisī anjān kā ġham hai
nahin hai milne ka imkan isi imkan ka gham hai
rahega kis tarah tanha dil-e-nadan ka gham hai
jise teri judai ne ghazab wahshi bana Dala
mujhe to apne andar ke usi insan ka gham hai
mila hun jab se main tujh se main teri zat mein gum hun
main teri zat mein gum hun mujhe pahchan ka gham hai
meri man mere bachpan se mujhe ye baat kahti hai
mere beTe jo insan hai use insan ka gham hai
nahin mauquf meri zat tak teri nawazish bas
na-jaane aur kitnon ko tere ehsan ka gham hai
mujhe us se mohabbat hai mujhe us ki zarurat hai
jise apnon ki mahfil mein kisi anjaan ka gham hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.