mohabbat se sitam jari kare hai
mohabbat se sitam jaarī kare hai
adākārī baḌī pyārī kare hai
hamāre dushmanoñ meñ hai vo dushman
hamārī kab taraf-dārī kare hai
hue sab faisle haiñ us ke haq meñ
gavāhoñ kī ḳharīdārī kare hai
charāġh-e-gul ko raushan karne vaalā
havā ke saath bhī yaarī kare hai
kisī ko de rahā hai ḳhuub daulat
mire hisse meñ begārī kare hai
har ik insāñ hai ik din marne vaalā
magar jiine ki tayyārī kare hai
mohabbat se sitam jari kare hai
adakari baDi pyari kare hai
hamare dushmanon mein hai wo dushman
hamari kab taraf-dari kare hai
hue sab faisle hain us ke haq mein
gawahon ki KHaridari kare hai
charagh-e-gul ko raushan karne wala
hawa ke sath bhi yari kare hai
kisi ko de raha hai KHub daulat
mere hisse mein begari kare hai
har ek insan hai ek din marne wala
magar jine ki tayyari kare hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.