laga raha hai wo ilzam sach chhupane ka
lagā rahā hai vo ilzām sach chhupāne kā
jo mujh ko vaqt nahīñ detā hai batāne kā
hamīñ ne ḳhuun se sīñchā thā ye shajar barsoñ
hamīñ ko haq na milā phal pe haq jatāne kā
badan utaar ke khūñTī pe Taañg aayā huuñ
tumhārā farz hai ab to gale lagāne kā
ġhazal se hotā nahīñ ghar kā ab guzārā 'harsh'
nayā koī to hunar siikh lo kamāne kā
laga raha hai wo ilzam sach chhupane ka
jo mujh ko waqt nahin deta hai batane ka
hamin ne KHun se sincha tha ye shajar barson
hamin ko haq na mila phal pe haq jatane ka
badan utar ke khunTi pe Tang aaya hun
tumhaara farz hai ab to gale lagane ka
ghazal se hota nahin ghar ka ab guzara 'harsh'
naya koi to hunar sikh lo kamane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.