Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu phul ki manind na shabnam ki tarah aa

Fana Nizami Kanpuri

tu phul ki manind na shabnam ki tarah aa

Fana Nizami Kanpuri

MORE BYFana Nizami Kanpuri

    phuul mānind na shabnam tarah aa

    ab ke kisī be-nām se mausam tarah aa

    har martaba aatā hai mah-e-nau tarah

    is baar zarā merī shab-e-ġham tarah aa

    hal karne haiñ mujh ko ka.ī pechīda masā.il

    ai jān-e-vafā gesu-e-pur-ḳham tarah aa

    zaḳhmoñ ko gavārā nahīñ yak-rañgi-e-hālāt

    nashtar tarah aa kabhī marham tarah aa

    nazdīkī o duurī kashākash ko miTā de

    is jañg meñ sulh ke parcham tarah aa

    maanā ki mirā ghar tirī jannat to nahīñ hai

    duniyā meñ mirī laġhzish-e-ādam tarah aa

    kuchh to mire zabt-e-mohabbat sila de

    hañgām-e-fanā dīda-e-pur-nam tarah aa

    tu phul ki manind na shabnam ki tarah aa

    ab ke kisi be-nam se mausam ki tarah aa

    har martaba aata hai mah-e-nau ki tarah tu

    is bar zara meri shab-e-gham ki tarah aa

    hal karne hain mujh ko kai pechida masail

    ai jaan-e-wafa gesu-e-pur-KHam ki tarah aa

    zaKHmon ko gawara nahin yak-rangi-e-haalat

    nashtar ki tarah aa kabhi marham ki tarah aa

    nazdiki o duri ki kashakash ko miTa de

    is jang mein tu sulh ke parcham ki tarah aa

    mana ki mera ghar teri jannat to nahin hai

    duniya mein meri laghzish-e-adam ki tarah aa

    tu kuchh to mere zabt-e-mohabbat ka sila de

    hangam-e-fana dida-e-pur-nam ki tarah aa

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    tu phul ki manind na shabnam ki tarah aa Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now