Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sar-e-rah ab na yun mujhko pukaro tum hi aa jao

Shakeb Jalali

sar-e-rah ab na yun mujhko pukaro tum hi aa jao

Shakeb Jalali

sar-e-rah ab na yuuñ mujh ko pukāro tum aa jaao

zarā zahmat to hogī rāz-dāro tum aa jaao

kahīñ aisā na ho dam toḌ deñ hasrat se dīvāne

qafas tak un se milne ko bahāro tum aa jaao

bharosā kyā safīne ka.ī tūfān haa.il haiñ

hamārī nā-ḳhudā.ī ko kināro tum aa jaao

abhī tak vo nahīñ aa.e yaqīnan raat baaqī hai

hamārī ġham-gusārī ko sitāro tum aa jaao

'shakeb'-e-ġham-zada ko dard se hai ab kahāñ fursat

agar kuchh vaqt mil jaa.e to pyāro tum aa jaao

sar-e-rah ab na yun mujh ko pukaro tum hi aa jao

zara zahmat to hogi raaz-daro tum hi aa jao

kahin aisa na ho dam toD den hasrat se diwane

qafas tak un se milne ko bahaaro tum hi aa jao

bharosa kya safine ka kai tufan hail hain

hamari na-KHudai ko kinaro tum hi aa jao

abhi tak wo nahin aae yaqinan raat baqi hai

hamari gham-gusari ko sitaro tum hi aa jao

'shakeb'-e-gham-zada ko dard se hai ab kahan fursat

agar kuchh waqt mil jae to pyaro tum hi aa jao

Source :
  • Book : Kulliyat Shakeb Jamali (Pg. 436)

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now