Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qarib maut khaDi hai zara Thahar jao

Saifuddin Saif

qarib maut khaDi hai zara Thahar jao

Saifuddin Saif

qarīb maut khaḌī hai zarā Thahar jaao

qazā se aañkh laḌī hai zarā Thahar jaao

thakī thakī fazā.eñ bujhe bujhe taare

baḌī udaas ghaḌī hai zarā Thahar jaao

nahīñ umiid ki ham aaj sahar dekheñ

ye raat ham pe kaḌī hai zarā Thahar jaao

abhī na jaao ki tāroñ dil dhaḌaktā hai

tamām raat paḌī hai zarā Thahar jaao

phir is ke ba.ad kabhī ham na tum ko rokeñge

laboñ pe saañs aḌī hai zarā Thahar jaao

dam-e-firāq maiñ bhar ke tum ko dekh to luuñ

ye faisle ghaḌī hai zarā Thahar jaao

qarib maut khaDi hai zara Thahar jao

qaza se aankh laDi hai zara Thahar jao

thaki thaki si fazaen bujhe bujhe tare

baDi udas ghaDi hai zara Thahar jao

nahin umid ki hum aaj ki sahar dekhen

ye raat hum pe kaDi hai zara Thahar jao

abhi na jao ki taron ka dil dhaDakta hai

tamam raat paDi hai zara Thahar jao

phir is ke baad kabhi hum na tum ko rokenge

labon pe sans aDi hai zara Thahar jao

dam-e-firaq main ji bhar ke tum ko dekh to lun

ye faisle ki ghaDi hai zara Thahar jao

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Saifuddin Saif

Saifuddin Saif

RECITATIONS

Javed Naseem

Javed Naseem,

Javed Naseem

Qareeb Maut khadi hai zara taher jao - Saifuddin Saif Javed Naseem

Source :
  • Book : Junoon (Pg. 220)
  • Author : Naseem Muqri
  • Publication : Naseem Muqri (1990)
  • Edition : 1990

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now