Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main jahan tumko bulata hun wahan tak aao

Ali Sardar Jafri

main jahan tumko bulata hun wahan tak aao

Ali Sardar Jafri

maiñ jahāñ tum ko bulātā huuñ vahāñ tak aao

merī nazroñ se guzar kar dil-o-jāñ tak aao

phir ye dekho ki zamāne havā hai kaisī

saath mere mire firdaus-e-javāñ tak aao

hausla ho to uḌo mere tasavvur tarah

merī taḳh.īl ke gulzār-e-jināñ tak aao

teġh tarah chalo chhoḌ ke āġhosh-e-niyām

tiir tarah se āġhosh-e-kamāñ tak aao

phuul ke gird phiro baaġh meñ mānind-e-nasīm

misl-e-parvāna kisī sham-e-tapāñ tak aao

lo vo sadiyoñ ke jahannam hadeñ ḳhatm huiiñ

ab hai firdaus firdaus jahāñ tak aao

chhoḌ kar vahm-o-gumāñ husn-e-yaqīñ tak pahuñcho

par yaqīñ se bhī kabhī vahm-o-gumāñ tak aao

isī duniyā meñ dikhā deñ tumheñ jannat bahār

shaiḳh-jī tum bhī zarā kū-e-butāñ tak aao

main jahan tum ko bulata hun wahan tak aao

meri nazron se guzar kar dil-o-jaan tak aao

phir ye dekho ki zamane ki hawa hai kaisi

sath mere mere firdaus-e-jawan tak aao

hausla ho to uDo mere tasawwur ki tarah

meri taKHil ke gulzar-e-jinan tak aao

tegh ki tarah chalo chhoD ke aaghosh-e-niyam

tir ki tarah se aaghosh-e-kaman tak aao

phul ke gird phiro bagh mein manind-e-nasim

misl-e-parwana kisi sham-e-tapan tak aao

lo wo sadiyon ke jahannam ki haden KHatm huin

ab hai firdaus hi firdaus jahan tak aao

chhoD kar wahm-o-guman husn-e-yaqin tak pahuncho

par yaqin se bhi kabhi wahm-o-guman tak aao

isi duniya mein dikha den tumhein jannat ki bahaar

shaiKH-ji tum bhi zara ku-e-butan tak aao

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now