Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi ki yaad mein yun harf-e-iltija hun main

Mohiuddin Waris

kisi ki yaad mein yun harf-e-iltija hun main

Mohiuddin Waris

MORE BYMohiuddin Waris

    kisī kī yaad meñ yuuñ harf-e-iltijā huuñ maiñ

    ḳhudā-gavāh hai ab terā ho gayā huuñ maiñ

    'ajīb baat hai kahte ho bā-vafā mujh ko

    janāb aap kī nazroñ meñ be-vafā huuñ maiñ

    sitāre raah meñ aate rahe mujhe milne

    talāsh-e-chāñd meñ ghar se nikal paḌā huuñ maiñ

    mire qarīb rahe tum to maiñ bhī sālim thā

    tumhāre baa'd to qistoñ meñ baT gayā huuñ maiñ

    bahut talāsh kiyā par mujhe milā hī nahīñ

    sukūn-e-dil ke liye kitnā kho gayā huuñ maiñ

    havā ḳhilāf thī lekin bujhā nahīñ paa.ī

    kisī kī raah kā jaltā huā diyā huuñ maiñ

    tumhāre shahr meñ aayā to ho gayā mash.hūr

    so apne gaañv meñ gumnām hī rahā huuñ maiñ

    farishte raat 'ayādat ko aa.e the 'vāris'

    za'īf maañ kī du'ā le ke so gayā huuñ maiñ

    kisi ki yaad mein yun harf-e-iltija hun main

    KHuda-gawah hai ab tera ho gaya hun main

    'ajib baat hai kahte ho ba-wafa mujh ko

    janab aap ki nazron mein be-wafa hun main

    sitare rah mein aate rahe mujhe milne

    talash-e-chand mein ghar se nikal paDa hun main

    mere qarib rahe tum to main bhi salim tha

    tumhaare ba'd to qiston mein baT gaya hun main

    bahut talash kiya par mujhe mila hi nahin

    sukun-e-dil ke liye kitna kho gaya hun main

    hawa KHilaf thi lekin bujha nahin pai

    kisi ki rah ka jalta hua diya hun main

    tumhaare shahr mein aaya to ho gaya mashhur

    so apne ganw mein gumnam hi raha hun main

    farishte raat 'ayaadat ko aae the 'waris'

    za'if man ki du'a le ke so gaya hun main

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now