Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek KHwab ka KHayal hai duniya kahen jise

Dattatriya Kaifi

ek KHwab ka KHayal hai duniya kahen jise

Dattatriya Kaifi

MORE BYDattatriya Kaifi

    ik ḳhvāb ḳhayāl hai duniyā kaheñ jise

    hai is meñ ik tilism tamannā kaheñ jise

    ik shakl hai tafannun-e-tab'-e-jamāl

    is se ziyāda kuchh nahīñ duniyā kaheñ jise

    ḳhamyāza hai karishma-parasti-e-dahr

    ahl-e-zamāna ālam-e-uqbā kaheñ jise

    ik ashk ārmīda-e-zabt-e-ġham-e-firāq

    mauj-e-havā-e-shauq hai dariyā kaheñ jise

    bā-vasf-e-zabt-e-rāz mohabbat hai āshkār

    uqda hai dil aqd-e-surayyā kaheñ jise

    barham-zan-e-hijāb hai ḳhud-raftagī-e-husn

    ik shān-e-be-ḳhudī hai zuleḳhā kaheñ jise

    aks-e-safā-e-qalb jauhar hai ā.īna

    vārafta-e-jamāl ḳhud-ārā kaheñ jise

    ram-sheva hai sanam to hai ram-āshnā ye dil

    hāsil hai mujh ko aish muhayyā kaheñ jise

    ḳhūnī kafan ye saiñt ke rakkhā hai kis liye

    qātil vo hai ki rashk-e-masīhā kaheñ jise

    sab kuchh hai aur kuchh bhī nahīñ dahr vajūd

    'kaifī' ye baat vo hai muammā kaheñ jise

    ek KHwab ka KHayal hai duniya kahen jise

    hai is mein ek tilism tamanna kahen jise

    ek shakl hai tafannun-e-tab'-e-jamal ki

    is se ziyaada kuchh nahin duniya kahen jise

    KHamyaza hai karishma-parasti-e-dahr ka

    ahl-e-zamana aalam-e-uqba kahen jise

    ek ashk aarmida-e-zabt-e-gham-e-firaq

    mauj-e-hawa-e-shauq hai dariya kahen jise

    ba-wasf-e-zabt-e-raaz mohabbat hai aashkar

    uqda hai dil ka aqd-e-surayya kahen jise

    barham-zan-e-hijab hai KHud-raftagi-e-husn

    ek shan-e-be-KHudi hai zuleKHa kahen jise

    aks-e-safa-e-qalb ka jauhar hai aaina

    warafta-e-jamal KHud-ara kahen jise

    ram-shewa hai sanam to hai ram-ashna ye dil

    hasil hai mujh ko aish muhayya kahen jise

    KHuni kafan ye saint ke rakkha hai kis liye

    qatil wo hai ki rashk-e-masiha kahen jise

    sab kuchh hai aur kuchh bhi nahin dahr ka wajud

    'kaifi' ye baat wo hai muamma kahen jise

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now