Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek ik qadam fareb-e-tamanna se bach ke chal

Shakeel Badayuni

ek ik qadam fareb-e-tamanna se bach ke chal

Shakeel Badayuni

ik ik qadam fareb-e-tamannā se bach ke chal

duniyā aarzū hai to duniyā se bach ke chal

ḳhud DhūñDh legā tujh ko tirā munfarid maqām

rāh-e-talab meñ naqsh-e-kaf-e-pā se bach ke chal

baaqī hai mere dil meñ abhī azmat-e-vajūd

qatre se kah rahā huuñ ki dariyā se bach ke chal

miltī nahīñ hai rāh-e-sukūñ ḳhauf-o-yās meñ

gulshan justujū hai to sahrā se bach ke chal

muñh jāda-e-vafā se na moḌ ai vafā-shi.ār

lekin hudūd-e-chashm-e-tamāshā se bach ke chal

kitnī hasīñ haiñ un ke sitam masarrateñ

shukr-e-karam zahmat-e-be-jā se bach ke chal

lamhe udaas udaas fazā.eñ ghuTī ghuTī

duniyā agar yahī hai to duniyā se bach ke chal

apne adab pe naaz hai tujh ko agar 'shakīl'

maġhrib-zadā adiib duniyā se bach ke chal

ek ek qadam fareb-e-tamanna se bach ke chal

duniya ki aarzu hai to duniya se bach ke chal

KHud DhunDh lega tujh ko tera munfarid maqam

rah-e-talab mein naqsh-e-kaf-e-pa se bach ke chal

baqi hai mere dil mein abhi azmat-e-wajud

qatre se kah raha hun ki dariya se bach ke chal

milti nahin hai rah-e-sukun KHauf-o-yas mein

gulshan ki justuju hai to sahra se bach ke chal

munh jada-e-wafa se na moD ai wafa-shiar

lekin hudud-e-chashm-e-tamasha se bach ke chal

kitni hasin hain un ke sitam ki masarraten

shukr-e-karam ki zahmat-e-be-ja se bach ke chal

lamhe udas udas fazaen ghuTi ghuTi

duniya agar yahi hai to duniya se bach ke chal

apne adab pe naz hai tujh ko agar 'shakil'

maghrib-zada adib ki duniya se bach ke chal

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

ek ik qadam fareb-e-tamanna se bach ke chal Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now