Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek anokhi rasm ko zinda rakha hai

Tahir Azeem

ek anokhi rasm ko zinda rakha hai

Tahir Azeem

ik anokhī rasm ko zinda rakhā hai

ḳhuun ne ḳhuun ko paspā rakhā hai

ab junūn-e-ḳhud-numā.ī meñ to ham ne

vahshatoñ ik darīcha rakhā hai

shahr kaise ab haqīqat-āshnā ho

āgahī par zaat pahra rakhā hai

tīrgī kyā ajab tarkīb hai ye

ab havā ke dosh par diivā rakhā hai

tum charāġhoñ ko bujhāne par tule ho

ham ne sūraj ko bhī ab apnā rakhā hai

tum hamāre ḳhuun qīmat na pūchho

is meñ apne zarf arsa rakhā hai

shahr is bhiiḌ meñ chal to rahā huuñ

zehn meñ par gaañv naqsha rakhā hai

ye 'azīm' apnā kamāl-e-zarf hai jo

dushmanoñ ke aib par parda rakhā hai

ek anokhi rasm ko zinda rakha hai

KHun hi ne KHun ko paspa rakha hai

ab junun-e-KHud-numai mein to hum ne

wahshaton ka ek daricha wa rakha hai

shahr kaise ab haqiqat-ashna ho

aagahi par zat ka pahra rakha hai

tirgi ki kya ajab tarkib hai ye

ab hawa ke dosh par diwa rakha hai

tum charaghon ko bujhane par tule ho

hum ne suraj ko bhi ab apna rakha hai

tum hamare KHun ki qimat na puchho

is mein apne zarf ka arsa rakha hai

shahr ki is bhiD mein chal to raha hun

zehn mein par ganw ka naqsha rakha hai

ye 'azim' apna kamal-e-zarf hai jo

dushmanon ke aib par parda rakha hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now