meri taswir mein rang aur kisi ka to nahin
merī tasvīr meñ rang aur kisī kā to nahīñ
gher leñ mujh ko sab āñkheñ maiñ tamāshā to nahīñ
zindagī tujh se har ik saañs pe samjhautā karūñ
shauq jiine kā hai mujh ko magar itnā to nahīñ
chehra dekhūñ to ḳhad-o-ḳhāl badal jaate haiñ
chhup ke ā.īne ke pīchhe koī baiThā to nahīñ
kis kī miTTī ko nachāte haiñ havāoñ ke bhañvar
koī āvāra-e-vahshat hai bagūlā to nahīñ
ruuh ko dard milā dard ko āñkheñ na milīñ
tujh ko mahsūs kiyā hai tujhe dekhā to nahīñ
merī āñkhoñ meñ tire naqsh-e-qadam kaise haiñ
is sarā.e meñ musāfir koī Thahrā to nahīñ
sochte sochte dil Dūbne lagtā hai mirā
zehn kī tah meñ 'muzaffar' koī dariyā to nahīñ
meri taswir mein rang aur kisi ka to nahin
gher len mujh ko sab aankhen main tamasha to nahin
zindagi tujh se har ek sans pe samjhauta karun
shauq jine ka hai mujh ko magar itna to nahin
chehra dekhun to KHad-o-KHal badal jate hain
chhup ke aaine ke pichhe koi baiTha to nahin
kis ki miTTi ko nachate hain hawaon ke bhanwar
koi aawara-e-wahshat hai bagula to nahin
ruh ko dard mila dard ko aankhen na milin
tujh ko mahsus kiya hai tujhe dekha to nahin
meri aankhon mein tere naqsh-e-qadam kaise hain
is sarae mein musafir koi Thahra to nahin
sochte sochte dil Dubne lagta hai mera
zehn ki tah mein 'muzaffar' koi dariya to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.