Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nind aankhon se uDi phul se KHushbu ki tarah

Obaidullah Aleem

nind aankhon se uDi phul se KHushbu ki tarah

Obaidullah Aleem

niiñd āñkhoñ se uḌī phuul se ḳhushbū tarah

bahal jā.egā shab se tire gesū tarah

dosto jashn manāo ki bahār aa.ī hai

phuul girte haiñ har ik shāḳh se aañsū tarah

merī āshuftagī-e-shauq meñ ik husn bhī hai

tere aariz pe machalte hue gesū tarah

ab tire hijr meñ lazzat na tire vasl meñ lutf

in dinoñ ziist hai Thahre hue aañsū tarah

zindagī yahī qīmat hai ki arzāñ ho jaao

naġhma-e-dard liye mauja-e-ḳhushbū tarah

kis ko ma.alūm nahīñ kaun thā vo shaḳhs 'alīm'

jis ḳhātir rahe āvāra ham aahū tarah

nind aankhon se uDi phul se KHushbu ki tarah

ji bahal jaega shab se tere gesu ki tarah

dosto jashn manao ki bahaar aai hai

phul girte hain har ek shaKH se aansu ki tarah

meri aashuftagi-e-shauq mein ek husn bhi hai

tere aariz pe machalte hue gesu ki tarah

ab tere hijr mein lazzat na tere wasl mein lutf

in dinon zist hai Thahre hue aansu ki tarah

zindagi ki yahi qimat hai ki arzan ho jao

naghma-e-dard liye mauja-e-KHushbu ki tarah

kis ko malum nahin kaun tha wo shaKHs 'alim'

jis ki KHatir rahe aawara hum aahu ki tarah

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Unknown

Unknown

Source :
  • Book : Chand Chehra Sitara Aankhen (Pg. 97)

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now