wo bachcha chori karne lag gaya hai
vo bachcha chorī karne lag gayā hai
yaqīnan bhuuk kā hī mas.ala hai
bhikārī shauq se kab māñgtā hai
kisī kā peT use mañgvā rahā hai
sabhī āzād hoñge ik na ik din
agar samjho to ye jiinā sazā hai
kamāne meñ haiñ sab masrūf din raat
yahāñ se kaun jebeñ bhar gayā hai
milegā bhī nahīñ mat DhūñDh bāhar
mirī sun apne andar hī ḳhudā hai
wo bachcha chori karne lag gaya hai
yaqinan bhuk ka hi masala hai
bhikari shauq se kab mangta hai
kisi ka peT use mangwa raha hai
sabhi aazad honge ek na ek din
agar samjho to ye jina saza hai
kamane mein hain sab masruf din raat
yahan se kaun jeben bhar gaya hai
milega bhi nahin mat DhunDh bahar
meri sun apne andar hi KHuda hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.