jab KHizan aae to patte na samar bachta hai
jab ḳhizāñ aa.e to patte na samar bachtā hai
ḳhālī jholī liye vīrān shajar bachtā hai
nukta-chīñ shauq se din raat mire 'aib nikāl
kyūñki jab 'aib nikal jaa.eñ hunar bachtā hai
saare Dar bas isī Dar se haiñ ki kho jaa.e na yaar
yaar kho jaa.e to phir kaun sā Dar bachtā hai
roz pathrāv bahut karte haiñ duniyā vaale
roz mar mar ke mirā ḳhvāb-nagar bachtā hai
ġham vo rasta hai ki shab bhar use tai karne ke baad
sub.h-dam dekheñ to utnā hī safar bachtā hai
bas yahī soch ke aayā huuñ tirī chaukhaT par
dar-ba-dar hone ke baa'd ik yahī dar bachtā hai
ab mare 'aib zada shahr ke shar se sāhib
shāz-o-nādir hī koī ahl-e-hunar bachtā hai
'ishq vo 'ilm-e-riyāzī hai ki jis meñ fāris
do se jab ek nikāleñ to sifar bachtā hai
jab KHizan aae to patte na samar bachta hai
KHali jholi liye viran shajar bachta hai
nukta-chin shauq se din raat mere 'aib nikal
kyunki jab 'aib nikal jaen hunar bachta hai
sare Dar bas isi Dar se hain ki kho jae na yar
yar kho jae to phir kaun sa Dar bachta hai
roz pathraw bahut karte hain duniya wale
roz mar mar ke mera KHwab-nagar bachta hai
gham wo rasta hai ki shab bhar use tai karne ke baad
subh-dam dekhen to utna hi safar bachta hai
bas yahi soch ke aaya hun teri chaukhaT par
dar-ba-dar hone ke ba'd ek yahi dar bachta hai
ab mare 'aib zada shahr ke shar se sahib
shaz-o-nadir hi koi ahl-e-hunar bachta hai
'ishq wo 'ilm-e-riyazi hai ki jis mein faris
do se jab ek nikalen to sifar bachta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.