Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hui ek KHwab se shadi meri tanhai ki

Farhat Ehsas

hui ek KHwab se shadi meri tanhai ki

Farhat Ehsas

huī ik ḳhvāb se shādī mirī tanhā.ī

pahlī beTī hai udāsī mirī tanhā.ī

abhī ma.alūm nahīñ kitne haiñ zaatī asbāb

kitnī vaj.heñ haiñ samājī mirī tanhā.ī

ke dekhā to khulā raunaq-e-bāzār raaz

ek ik chiiz banī thī mirī tanhā.ī

shahr-dar-shahr jo ye anjuman.en haiñ ābād

tarbiyat-gāheñ haiñ saarī mirī tanhā.ī

sirf ā.īna-e-āġhosh-e-mohabbat meñ milī

ek tanhā.ī javābī mirī tanhā.ī

saaf hai chehra-e-qātil mirī āñkhoñ meñ magar

mo'tabar kab hai gavāhī mirī tanhā.ī

hāsil-e-vasl sifar hijr hāsil bhī sifar

jaane kaisī hai riyāzī mirī tanhā.ī

kisī hālat meñ bhī tanhā nahīñ hone detī

hai yahī ek ḳharābī mirī tanhā.ī

maiñ jo yuuñ phirtā huuñ mai-ḳhānoñ meñ but-ḳhānoñ meñ

hai yahī roza namāzī mirī tanhā.ī

'farhat-ehsās' vo ham-zād hai merā jis ne

shahr meñ dhuum machā mirī tanhā.ī

hui ek KHwab se shadi meri tanhai ki

pahli beTi hai udasi meri tanhai ki

abhi malum nahin kitne hain zati asbab

kitni wajhen hain samaji meri tanhai ki

ja ke dekha to khula raunaq-e-bazar ka raaz

ek ek chiz bani thi meri tanhai ki

shahr-dar-shahr jo ye anjumanen hain aabaad

tarbiyat-gahen hain sari meri tanhai ki

sirf aaina-e-aghosh-e-mohabbat mein mili

ek tanhai jawabi meri tanhai ki

saf hai chehra-e-qatil meri aankhon mein magar

mo'tabar kab hai gawahi meri tanhai ki

hasil-e-wasl sifar hijr ka hasil bhi sifar

jaane kaisi hai riyazi meri tanhai ki

kisi haalat mein bhi tanha nahin hone deti

hai yahi ek KHarabi meri tanhai ki

main jo yun phirta hun mai-KHanon mein but-KHanon mein

hai yahi roza namazi meri tanhai ki

'farhat-ehsas' wo ham-zad hai mera jis ne

shahr mein dhum macha di meri tanhai ki

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now