Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hue hain band dishaon ke sare raste aa

Kumar Pashi

hue hain band dishaon ke sare raste aa

Kumar Pashi

hue haiñ band dishāoñ ke saare raste aa

añdherā chhāne lagā lauT kar parinde aa

maiñ terī saarī tamāzat ko jazb kar lūñgā

āftāb kabhī mere dil meñ bujhne aa

kabhī dikhā de vo manzar jo maiñ ne dekhe nahīñ

kabhī to niiñd meñ ai ḳhvāb ke farishte aa

yahāñ to kab se añdheroñ meñ ġharq hai duniyā

idhar jo aa to sitāroñ shaal oḌhe aa

na chupke chupke sulag ko apne halkā kar

tujhe ye kaun dukh hai kabhī batāne aa

baḌā sukūn milegā tujhe yahāñ aa kar

jo ho sake to kabhī mere dil meñ rahne aa

dahaktā sho.ala maiñ ek dasht huuñ 'pāshī'

agar ghaTā hai sāvan to barasne aa

hue hain band dishaon ke sare raste aa

andhera chhane laga lauT kar parinde aa

main teri sari tamazat ko jazb kar lunga

tu aaftab kabhi mere dil mein bujhne aa

kabhi dikha de wo manzar jo main ne dekhe nahin

kabhi to nind mein ai KHwab ke farishte aa

yahan to kab se andheron mein gharq hai duniya

idhar jo aa to sitaron ki shaal oDhe aa

na chupke chupke sulag ji ko apne halka kar

tujhe ye kaun sa dukh hai kabhi batane aa

baDa sukun milega tujhe yahan aa kar

jo ho sake to kabhi mere dil mein rahne aa

dahakta shoala sa main ek dasht hun 'pashi'

agar ghaTa hai tu sawan ki to barasne aa

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

hue hain band dishaon ke sare raste aa Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now