Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hota fankar-e-jadid aur na shair hota

Haidar Ali Jafri

hota fankar-e-jadid aur na shair hota

Haidar Ali Jafri

hotā fankār-e-jadīd aur na shā'ir hotā

laġhv be-bahr ḳhayālāt maz.har hotā

aur baḌh jaatī jo ib.hām nudrat mujh meñ

ahd-e-nau ke kisī firqe payambar hotā

kuchh to miltā mujhe dushnām-tarāzī sahī

ḳhuub hotā jo maiñ dushman ke barābar hotā

kaahe ko dasht meñ chubhne ke liye rah jaatā

phuul hotā kisī gulshan gul-e-tar hotā

mujh pe bhī tesha-e-ulfat 'ināyat hotī

kaash ke maiñ bhī kisī koh patthar hotā

yuuñ tarāshe haiñ sanam kufr ke is duniyā ne

but-shikan hotā jo is daur meñ 'āzar' hotā

khīñch detā maiñ zamāne pe mohabbat ke nuqūsh

mere qabze meñ agar ḳhāma-e-shahpar hotā

apnī ḳhalīq mafhūm samajh paatā agar

dā.era hotā jahāñ aur maiñ mehvar hotā

log mujh ko bhī shahīd-e-ġham-e-daurāñ kahte

neza-e-vaqt pe goyā jo mirā sar hotā

dasht āb-o-havā ne diyā kāñToñ libās

maiñ bahāroñ meñ jo paltā gul-e-ahmar hotā

ḳhuun mazdūr miltā jo na ta.amīroñ meñ

na havelī na mahal aur na koī ghar hotā

tishna-lab koī bhī duniyā meñ nahīñ rah paatā

merī āñkhoñ ke jo qabze meñ samundar hotā

hota fankar-e-jadid aur na sha'ir hota

laghw be-bahr KHayalat ka mazhar hota

aur baDh jati jo ibham ki nudrat mujh mein

ahd-e-nau ke kisi firqe ka payambar hota

kuchh to milta mujhe dushnam-taraazi hi sahi

KHub hota jo main dushman ke barabar hota

kahe ko dasht mein chubhne ke liye rah jata

phul hota kisi gulshan ka gul-e-tar hota

mujh pe bhi tesha-e-ulfat ki 'inayat hoti

kash ke main bhi kisi koh ka patthar hota

yun tarashe hain sanam kufr ke is duniya ne

but-shikan hota jo is daur mein 'azar' hota

khinch deta main zamane pe mohabbat ke nuqush

mere qabze mein agar KHama-e-shahpar hota

apni KHaliq ka mafhum samajh pata agar

daera hota jahan aur main mehwar hota

log mujh ko bhi shahid-e-gham-e-dauran kahte

neza-e-waqt pe goya jo mera sar hota

dasht ki aab-o-hawa ne diya kanTon ka libas

main bahaaron mein jo palta gul-e-ahmar hota

KHun mazdur ka milta jo na tamiron mein

na haweli na mahal aur na koi ghar hota

tishna-lab koi bhi duniya mein nahin rah pata

meri aankhon ke jo qabze mein samundar hota

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now