tu ne ye phul jo zulfon mein saja rakkha hai
tū ne ye phuul jo zulfoñ meñ sajā rakkhā hai
ik diyā hai jo añdheroñ meñ jalā rakkhā hai
jiit le jaa.e koī mujh ko nasīboñ vaalā
zindagī ne mujhe daao pe lagā rakkhā hai
jaane kab dil meñ koī jhāñkne vaalā aa jaa.e
is liye maiñ ne garebān khulā rakkhā hai
imtihāñ aur mire zabt kā tum kyā loge
maiñ ne dhaḌkan ko bhī siine meñ chhupā rakkhā hai
dil thā ik sho'la magar biit ga.e din vo 'qatīl'
ab kuredo na ise raakh meñ kyā rakkhā hai
tu ne ye phul jo zulfon mein saja rakkha hai
ek diya hai jo andheron mein jala rakkha hai
jit le jae koi mujh ko nasibon wala
zindagi ne mujhe dao pe laga rakkha hai
jaane kab dil mein koi jhankne wala aa jae
is liye main ne gareban khula rakkha hai
imtihan aur mere zabt ka tum kya loge
main ne dhaDkan ko bhi sine mein chhupa rakkha hai
dil tha ek sho'la magar bit gae din wo 'qatil'
ab kuredo na ise rakh mein kya rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.