Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hisab-e-umr karo ya hisab-e-jam karo

Sulaiman Areeb

hisab-e-umr karo ya hisab-e-jam karo

Sulaiman Areeb

MORE BYSulaiman Areeb

    hisāb-e-umr karo hisāb-e-jām karo

    ba-qadr-e-zarf shab-e-ġham ehtimām karo

    agar zarā bhī rivāyat pāsdārī hai

    ḳhirad ke daur meñ rasm-e-junūñ ko aam karo

    ḳhudā gavāh faqīroñ tajraba ye hai

    jahāñ ho sub.h tumhārī vahāñ na shaam karo

    na riñd o shaiḳh na mullā na mohtasib na faqīh

    ye mai-kada hai yahāñ sab ko shād-kām karo

    vahī hai tesha bayābāñ vahī hai daar vahī

    jo ho sake to zamāne meñ tum bhī naam karo

    ḳhirām-e-yār aahaT dil se aatī hai

    sarishk-e-ḳhūñ se charāġhāñ ehtimām karo

    asīr-e-zulf hamīñ ik nahīñ haiñ 'mīr' bhī the

    magar ab uTh ke do-ālam ko zer-e-dām karo

    'arrīb' dekho na itrāo chand sheroñ par

    ġhazal vo fan hai ki 'ġhālib' ko tum salām karo

    hisab-e-umr karo ya hisab-e-jam karo

    ba-qadr-e-zarf shab-e-gham ka ehtimam karo

    agar zara bhi riwayat ki pasdari hai

    KHirad ke daur mein rasm-e-junun ko aam karo

    KHuda gawah faqiron ka tajraba ye hai

    jahan ho subh tumhaari wahan na sham karo

    na rind o shaiKH na mulla na mohtasib na faqih

    ye mai-kada hai yahan sab ko shad-kaam karo

    wahi hai tesha bayaban wahi hai dar wahi

    jo ho sake to zamane mein tum bhi nam karo

    KHiram-e-yar ki aahaT si dil se aati hai

    sarishk-e-KHun se charaghan ka ehtimam karo

    asir-e-zulf hamin ek nahin hain 'mir' bhi the

    magar ab uTh ke do-alam ko zer-e-dam karo

    'arrib' dekho na itrao chand sheron par

    ghazal wo fan hai ki 'ghaalib' ko tum salam karo

    Source :
    • Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 200)
    • Author : Farooq Argali
    • Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
    • Edition : 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now