jab us chaman mein chhoD ke hum aashiyan chale
jab us chaman meñ chhoḌ ke ham āshiyāñ chale
ik ham-safīr ne bhī na pūchhā kahāñ chale
kyā le liyā thā ham ne ulajhtā jo koī ḳhaar
juuñ gul ham us ke baaġh se dāman-fashāñ chale
har baat meñ hai aisī katar-byoñt us ko yaad
miqrāz kī tarah se ki jis kī zabāñ chale
ġhāfil hamārī aah se rahnā na be-ḳhatar
kar ḳhauf aise tiir se jo be-kamāñ chale
rāh-e-'adam bhī duur hai 'saudā' ki jis ke biich
jis tarh piir jaa.e hai vūhīñ javāñ chale
jab us chaman mein chhoD ke hum aashiyan chale
ek ham-safir ne bhi na puchha kahan chale
kya le liya tha hum ne ulajhta jo koi KHar
jun gul hum us ke bagh se daman-fashan chale
har baat mein hai aisi katar-byont us ko yaad
miqraaz ki tarah se ki jis ki zaban chale
ghafil hamari aah se rahna na be-KHatar
kar KHauf aise tir se jo be-kaman chale
rah-e-'adam bhi dur hai 'sauda' ki jis ke bich
jis tarh pir jae hai wuhin jawan chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.