hum aandhiyon ke ban mein kisi karwan ke the
Interesting Fact
On his visit to his native land Amroha
ham āñdhiyoñ ke ban meñ kisī kārvāñ ke the
jaane kahāñ se aa.e haiñ jaane kahāñ ke the
ai jān-e-dāstāñ tujhe aayā kabhī ḳhayāl
vo log kyā hue jo tirī dāstāñ ke the
ham tere āstāñ pe ye kahne ko aa.e haiñ
vo ḳhaak ho ga.e jo tire āstāñ ke the
mil kar tapāk se na hameñ kījiye udaas
ḳhātir na kījiye kabhī ham bhī yahāñ ke the
kyā pūchhte ho nām-o-nishān-e-musāfirāñ
hindostāñ meñ aa.e haiñ hindostāñ ke the
ab ḳhaak uḌ rahī hai yahāñ intizār kī
ai dil ye bām-o-dar kisī jān-e-jahāñ ke the
ham kis ko deñ bhalā dar-o-dīvār kā hisāb
ye ham jo haiñ zamīñ ke na the āsmāñ ke the
ham se chhinā hai nāf-piyāla tirā miyāñ
goyā azal se ham saf-e-lab-tishnagāñ ke the
ham ko haqīqatoñ ne kiyā hai ḳharāb-o-ḳhvār
ham ḳhvāb-e-ḳhvāb aur gumān-e-gumāñ ke the
sad-yād-e-yād 'jaun' vo hañgām-e-dil ki jab
ham ek gaam ke na the par haft-ḳhvāñ ke the
vo rishta-hā-e-zāt jo barbād ho ga.e
mere gumāñ ke the ki tumhāre gumāñ ke the
hum aandhiyon ke ban mein kisi karwan ke the
jaane kahan se aae hain jaane kahan ke the
ai jaan-e-dastan tujhe aaya kabhi KHayal
wo log kya hue jo teri dastan ke the
hum tere aastan pe ye kahne ko aae hain
wo KHak ho gae jo tere aastan ke the
mil kar tapak se na hamein kijiye udas
KHatir na kijiye kabhi hum bhi yahan ke the
kya puchhte ho nam-o-nishan-e-musafiran
hindostan mein aae hain hindostan ke the
ab KHak uD rahi hai yahan intizar ki
ai dil ye baam-o-dar kisi jaan-e-jahan ke the
hum kis ko den bhala dar-o-diwar ka hisab
ye hum jo hain zamin ke na the aasman ke the
hum se chhina hai naf-piyala tera miyan
goya azal se hum saf-e-lab-tishnagan ke the
hum ko haqiqaton ne kiya hai KHarab-o-KHwar
hum KHwab-e-KHwab aur guman-e-guman ke the
sad-yaad-e-yaad 'jaun' wo hangam-e-dil ki jab
hum ek gam ke na the par haft-KHwan ke the
wo rishta-ha-e-zat jo barbaad ho gae
mere guman ke the ki tumhaare guman ke the
- Book : yani (Pg. 115)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.