Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye hadisa to hua hi nahin hai tere baad

Kafeel Aazar Amrohvi

ye hadisa to hua hi nahin hai tere baad

Kafeel Aazar Amrohvi

ye hādisa to huā nahīñ hai tere ba.ad

ġhazal kisī ko kahā nahīñ hai tere ba.ad

hai pur-sukūn samundar kuchh is tarah dil

ki jaise chāñd khilā nahīñ hai tere ba.ad

mahaktī raat se dil se qalam se kāġhaz se

kisī se rabt rakhā nahīñ hai tere ba.ad

ḳhayāl ḳhvāb fasāne kahāniyāñ thiiñ magar

vo ḳhat tujhe bhī likhā nahīñ hai tere ba.ad

kahāñ se mahkegī hoñToñ pe lams ḳhushbū

kisī ko maiñ ne chhuā nahīñ hai tere ba.ad

charāġh palkoñ pe 'āzar' kisī yādoñ

qasam ḳhudā jalā nahīñ hai tere ba.ad

ye hadisa to hua hi nahin hai tere baad

ghazal kisi ko kaha hi nahin hai tere baad

hai pur-sukun samundar kuchh is tarah dil ka

ki jaise chand khila hi nahin hai tere baad

mahakti raat se dil se qalam se kaghaz se

kisi se rabt rakha hi nahin hai tere baad

KHayal KHwab fasane kahaniyan thin magar

wo KHat tujhe bhi likha hi nahin hai tere baad

kahan se mahkegi honTon pe lams ki KHushbu

kisi ko main ne chhua hi nahin hai tere baad

charagh palkon pe 'azar' kisi ki yaadon ka

qasam KHuda ki jala hi nahin hai tere baad

Source :
  • Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 342)
  • Author : Farooq Argali
  • Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
  • Edition : 2004

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now