Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo to hashr tha magar uski ab wo shabahaten bhi chali gain

R P Shokh

wo to hashr tha magar uski ab wo shabahaten bhi chali gain

R P Shokh

vo to hashr thā magar us ab vo shabāhateñ bhī chalī ga.iiñ

jo raheñ to shahr meñ kyā raheñ ki qayāmateñ bhī chalī ga.iiñ

tire dam se thiiñ sabhī raunaqeñ vo habīb the ki raqīb the

vo qarābateñ to ga.ī thiiñ vo riqābateñ bhī chalī ga.iiñ

tirā qurb garche thā jāñ-gusil vahī qurb thā mirī zindagī

tire baa'd marg-o-hayāt vo rifāqateñ bhī chalī ga.iiñ

mirī aarzū thī ki jāñ-ba-kaf mirī justujū ki nafas ba-pā

ab ai zindagī mujhe chhoḌ ki ye hālateñ bhī chalī ga.iiñ

ne jo dard daulateñ vo ġhazal ġhazal na samā sakīñ

mire haath se tire husn ye virāsateñ bhī chalī ga.iiñ

use dekh dekh ke sochnā use soch soch ke dekhnā

vo aziiz kyā ki azīz-tar ka.ī ādateñ bhī chalī ga.iiñ

wo to hashr tha magar us ki ab wo shabahaten bhi chali gain

jo rahen to shahr mein kya rahen ki qayamaten bhi chali gain

tere dam se thin sabhi raunaqen wo habib the ki raqib the

wo qarabaten to gai hi thin wo riqabaten bhi chali gain

tera qurb garche tha jaan-gusil wahi qurb tha meri zindagi

tere ba'd marg-o-hayat ki wo rifaqaten bhi chali gain

meri aarzu thi ki jaan-ba-kaf meri justuju ki nafas ba-pa

ab ai zindagi mujhe chhoD ja ki ye haalaten bhi chali gain

tu ne di jo dard ki daulaten wo ghazal ghazal na sama sakin

mere hath se tere husn ki ye wirasaten bhi chali gain

use dekh dekh ke sochna use soch soch ke dekhna

wo aziz kya ki aziz-tar kai aadaten bhi chali gain

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now