usne jab meri taraf pyar se dekha hoga
us ne jab merī taraf pyaar se dekhā hogā
mere baare meñ baḌe ġhaur se sochā hogā
sub.h ko jis ne sajā.ī hai hañsī hoñToñ par
raat bhar us ko kisī ġham ne satāyā hogā
kar ke vā'da jo agar aap nahīñ ā.eñge
naam bad-nām zamāne meñ vafā kā hogā
hañs ke ham baat jo kar lete haiñ un se 'ḳhurshīd'
haal apnā vo samajh lete haiñ achchhā hogā
us ne jab meri taraf pyar se dekha hoga
mere bare mein baDe ghaur se socha hoga
subh ko jis ne sajai hai hansi honTon par
raat bhar us ko kisi gham ne sataya hoga
kar ke wa'da jo agar aap nahin aaenge
nam bad-nam zamane mein wafa ka hoga
hans ke hum baat jo kar lete hain un se 'KHurshid'
haal apna wo samajh lete hain achchha hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.