raaz titli ko chhu ke paya hai
raaz titlī ko chhū ke paayā hai
lams ne rang ko uḌāyā hai
aa.ina dekh kar vo kyuuñ chauñkā
kyā use ḳhud ne hī Darāyā hai
kaash tahrīr us pe khul jaa.e
maiñ ne lafzoñ meñ dil chhupāyā hai
ek kāġhaz pe bārisheñ rakh diiñ
ḳhvāb kā naqsha yuuñ banāyā hai
raushnī ne pahan liyā saaya
dekh lo kaisā vaqt aayā hai
dil ne dīvār se kahā bole
ḳhāmushī ne mujhe satāyā hai
dhuup ne bhī kasar nahīñ chhoḌī
chāñdnī ne alag jalāyā hai
raaz titli ko chhu ke paya hai
lams ne rang ko uDaya hai
aaina dekh kar wo kyun chaunka
kya use KHud ne hi Daraya hai
kash tahrir us pe khul jae
main ne lafzon mein dil chhupaya hai
ek kaghaz pe barishen rakh din
KHwab ka naqsha yun banaya hai
raushni ne pahan liya saya
dekh lo kaisa waqt aaya hai
dil ne diwar se kaha bole
KHamushi ne mujhe sataya hai
dhup ne bhi kasar nahin chhoDi
chandni ne alag jalaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.