dard apnon se jab hazar mile
dard apnoñ se jab hazār mile
taar is dil ke taar taar mile
peḌ ban kar bhī ham ne dekh liyā
ham ko patthar hī be-shumār mile
ham ko logoñ ne muft meñ bāñTā
ham ne chāhā thā ġham udhār mile
tair kar bhī maiñ paar jā na sakā
dost saare nadī ke paar mile
ek muflis ko baa'd marne ke
ḳhuub DhūñDe na kandhe chaar mile
dard apnon se jab hazar mile
tar is dil ke tar tar mile
peD ban kar bhi hum ne dekh liya
hum ko patthar hi be-shumar mile
hum ko logon ne muft mein banTa
hum ne chaha tha gham udhaar mile
tair kar bhi main par ja na saka
dost sare nadi ke par mile
ek muflis ko ba'd marne ke
KHub DhunDe na kandhe chaar mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.