hai yahan nam ishq ka lena
hai yahāñ naam 'ishq kā lenā
apne pīchhe balā lagā lenā
shart-e-tahrīr pahle sun le phir
ḳhāme ko haath meñ dilā lenā
nāma-e-shauq un ko shauq se likh
ġhair ko bhī magar dikhā lenā
kal ko bose ke vāste bhī zarūr
shart hogī use jatā lenā
agar aa.e tabīb-e-marg kahīñ
dosto ham ko bhī bulā lenā
hai jo momin to bhuul kar bhī dilā
na kabhī nām-e-mā-sivā lenā
dā'vā tauhīd kā tū kartā hai
nafs ko mat ḳhudā banā lenā
ham phireñ tujh se ye na ho yā-rab
is se pahle hameñ uThā lenā
tum ko roz-e-jazā kā kyā Dar hai
dāvar-e-hashr ko bulā lenā
varna hai ye to baa.eñ haath kā khel
shāhidoñ ko sikhā paḌhā lenā
ho idhar bhī kabhī nigāh-e-karam
ham ġharīboñ kī bhī du'ā lenā
zulf rahne do haañ naqāb zarā
ruḳh-e-mahbūb se haTā lenā
aaj jī bhar ke dekh lene do
kal ko dil khol kar satā lenā
is bigaḌne kī kyā sanad ai dil
shaam tak phir unheñ manā lenā
vasl kī shab na chheḌ qissa-e-hijr
ye kisī aur din sunā lenā
zahr hī ho magar vo deñ to kahīñ
mujh ko lagtā hai kyā burā lenā
un ke dar se zakāt-e-husn agar
gāliyāñ bhī mileñ to khā lenā
sāqiyā dekh tishna-kām na jaa.eñ
zab.h se pahle kuchh pilā lenā
ġhair se dostī karo lekin
pahle kuchh roz aazmā lenā
tālib-e-ḳhuld muzd-e-'ishq bhī ab
ho gayā hai tujhe ravā lenā
ek hī jaam aur ye sarmastī
sāqiyā dekh maiñ chalā lenā
tum ko zebā na thā vidā' ke vaqt
aañkh 'jauhar' se yuuñ churā lenā
hai yahan nam 'ishq ka lena
apne pichhe bala laga lena
shart-e-tahrir pahle sun le phir
KHame ko hath mein dila lena
nama-e-shauq un ko shauq se likh
ghair ko bhi magar dikha lena
kal ko bose ke waste bhi zarur
shart hogi use jata lena
agar aae tabib-e-marg kahin
dosto hum ko bhi bula lena
hai jo momin to bhul kar bhi dila
na kabhi nam-e-ma-siwa lena
da'wa tauhid ka tu karta hai
nafs ko mat KHuda bana lena
hum phiren tujh se ye na ho ya-rab
is se pahle hamein uTha lena
tum ko roz-e-jaza ka kya Dar hai
dawar-e-hashr ko bula lena
warna hai ye to baen hath ka khel
shahidon ko sikha paDha lena
ho idhar bhi kabhi nigah-e-karam
hum gharibon ki bhi du'a lena
zulf rahne do han naqab zara
ruKH-e-mahbub se haTa lena
aaj ji bhar ke dekh lene do
kal ko dil khol kar sata lena
is bigaDne ki kya sanad ai dil
sham tak phir unhen mana lena
wasl ki shab na chheD qissa-e-hijr
ye kisi aur din suna lena
zahr hi ho magar wo den to kahin
mujh ko lagta hai kya bura lena
un ke dar se zakat-e-husn agar
galiyan bhi milen to kha lena
saqiya dekh tishna-kaam na jaen
zabh se pahle kuchh pila lena
ghair se dosti karo lekin
pahle kuchh roz aazma lena
talib-e-KHuld muzd-e-'ishq bhi ab
ho gaya hai tujhe rawa lena
ek hi jam aur ye sarmasti
saqiya dekh main chala lena
tum ko zeba na tha wida' ke waqt
aankh 'jauhar' se yun chura lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.