hazar tarah se gardish mein aaftab raha
hazār tarah se gardish meñ āftāb rahā
nigāh-e-nāz kā lekin kahāñ javāb rahā
vo aa ga.e haiñ to ab chhoḌo is fasāne ko
kahāñ kahāñ maiñ phirā kis tarah ḳharāb rahā
sunā rahā huuñ unheñ jhūT-mūT ik qissa
ki ek shaḳhs mohabbat meñ kāmyāb rahā
agarche aur bhī fitne uThe qayāmat ke
tirā shabāb hī aalam meñ intiḳhāb rahā
rah-e-hayāt meñ ham chāk-e-dil se dekheñge
jahāñ jahāñ bhī ruḳh-e-dahr par naqāb rahā
hazar tarah se gardish mein aaftab raha
nigah-e-naz ka lekin kahan jawab raha
wo aa gae hain to ab chhoDo is fasane ko
kahan kahan main phira kis tarah KHarab raha
suna raha hun unhen jhuT-muT ek qissa
ki ek shaKHs mohabbat mein kaamyab raha
agarche aur bhi fitne uThe qayamat ke
tera shabab hi aalam mein intiKHab raha
rah-e-hayat mein hum chaak-e-dil se dekhenge
jahan jahan bhi ruKH-e-dahr par naqab raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.