Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hayat ko teri dushwar kis tarah karta

Farhat Shahzad

hayat ko teri dushwar kis tarah karta

Farhat Shahzad

hayāt ko tirī dushvār kis tarah kartā

maiñ tujh se pyaar iz.hār kis tarah kartā

thā merī saut pe pahra ''anā-sipāhī''

maiñ apnī haar iqrār kis tarah kartā

use thā pyaar se baḌh kar ḳhayāl duniyā

ye jaan kar bhī maiñ isrār kis tarah kartā

tirā vajūd gavāhī hai mere hone

maiñ apnī zaat se inkār kis tarah kartā

mujhe ḳhabar thī tujhe dukh mileñge badle meñ

qubūl phir maiñ tirā pyaar kis tarah kartā

thā ham-safar bhī safar bhī jo merī manzil bhī

usī ko raah dīvār kis tarah kartā

jo ḳhud ko bechne baiThā thā kauḌiyoñ ke evaz

maiñ us ko apnā ḳharīdār kis tarah kartā

hayat ko teri dushwar kis tarah karta

main tujh se pyar ka izhaar kis tarah karta

tha meri saut pe pahra ana-sipahi ka

main apni haar ka iqrar kis tarah karta

use tha pyar se baDh kar KHayal duniya ka

ye jaan kar bhi main israr kis tarah karta

tera wajud gawahi hai mere hone ki

main apni zat se inkar kis tarah karta

mujhe KHabar thi tujhe dukh milenge badle mein

qubul phir main tera pyar kis tarah karta

tha ham-safar bhi safar bhi jo meri manzil bhi

usi ko rah ki diwar kis tarah karta

jo KHud ko bechne baiTha tha kauDiyon ke ewaz

main us ko apna KHaridar kis tarah karta

Source :
  • Book : Aaina Jhuta hai (Pg. 132)
  • Author : Farhat Shahzad
  • Publication : Al-hamd Publication (1997)
  • Edition : 1997
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now